Tuesday, January 10, 2012

Vishwakarma Aarti


Doha
Shri vishwakarama prabhune vandu
Charan kamal dhari dhyan
Shri shambu bal aru shrip gun Dije daya nidhaan

Vishwakarma Aarti
Jai shri vishwakarma prabhu, jai shri vishwakarma |
Sakal srishti ke karta, rakshak stuti dharma ||

Aadi srishti me vidhi ko shruti updesh diya |
Jeev matra ka jag me, gyan vikas kiya ||

Rishi angira tap se, shanti nahin pai |
Rog grast raja ne jab aashraya leena |
Sankat mochan bankar door duhkha keena ||
Jai shri vishwakarma.

Jab rathkaar dampati, tumhari ter kari |
Sunkar deen prarthna, vipat hari sagari ||

Ekanan chaturanan, panchanan raje |
Tribhuj chaturbhuj dashbhuj, sakal roop saje ||

Dhyan dhare tab pad ka, sakal siddhi aave |
Mann dvividha mit jave, atal shakti pave ||

Shri vishwakarma ki aarti jo koi gave |
Bhajat gajanand swami, sukh sampati pave ||
Jai shri vishwakarma.

0 comments:

Post a Comment

Share

Twitter Facebook Digg Delicious Stumbleupon Favorites More